Daulat Ke Jhuthe Nashe Me Ho Choor Lyrics | Oonchi Haveli

Lyricist : Bharat Vyas
Music Director : Dhirubhai Desai , Shivram
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        daulat ke jhuthe nashe me ho chur
garibo ki duniya se rehte ho dur
aji ek din aisa aayega
matti me sab mil jayega
matti hi audan matti bichavan
matti ka tan ban jayega
matti me sab mil jayega

unche aasman se bhi uchi teri aas hai
par kabhi socha nahi
ginti ki sans hai iska tu hisab kar
angutha ungliyo pe dhar
kitni kharch kar raha bhalai
kitni tu laga raha bhalai me
bhalai ka phal reh jayega
baki matti me sab mil jayega
matti hi audan matti bichavan
matti ka tan ban jayega

unchi haveli ye unche mahal
pal bhar jayenge pagle badal
le tu kisi ki duao ka phal
badi se tu tal aur neki pe chal
jaisa boyega vaisa payega
baki matti me sab mil jayega
daulat ke juthe nashe me ho chur
garibo ki duniya se rehte ho dur
aji ek din aisa aayega
matti me sab mil jayega
matti hi audan matti bichavan
matti ka tan ban jayega
matti me sab mil jayega
daulat ke juthe nashe me ho chur