O o aye khuda teri marzi ke
Aage kya hoga hai pata
Tu jo chaahe waisa
Sama ho teri raza
Tu jo chaahe tapati
Dhup mein aye khuda
Khilata huwa gulista hoga
Tune banaayi raahein
Tune banaayi manjil
Hum le chalein hai
Apna kaarwaan aye khuda
Teri marzi ke aage
Kya hoga aye khuda
Tehani tehani se
Dekho tuta hai har patta
Bikhara huwa pada
Hai aaj yeh gulista
Jhilmilaata yahaan
Muskuraata yahaan
Tha khushi se kabhi
Yeh aashiyaan
Rehbar ho tum hamaare
Phir kaisa diya farmaan
Farishte bhi rusawa
Honge dekhake yeh anjaam
Yeh na chaahe koyi
Abb bata de tu hi
Kehkar apna tu
Kyun banata anjaan
Aye khuda teri marzi ke
Aage kya hoga hai pata
Tu jo chaahe waisa
Sama ho teri raza
Tu jo chaahe tapati
Dhup mein aye khuda
Khilata huwa gulista hoga
Tune banaayi raahein
Tune banaayi manjil
Hum le chalein
Hai apna kaarwaan.