kuch khona hai kuch pana hai, jiwan ka khel purana hai

jab tak ye sans chalegi, yara ye to chalte jana hai

kabhi sukho ka mela, kabhi hai akela ye jiwan ho

kon apna begana ye jana pahchana, ye na pahchaan tera man ho
prem ki sargum gau hardum, mai hu prem pujari
dil lena dil dena janu, janu na dunia dari
dharti ki lay pe jiwan ko, ek mitha geet banana hai
jab tak ye sans chalegi, yara ye to chalte jana hai
kuch khona hai kuch pana hai, jiwan ka khel purana hai
hona hai jo ho jaye kahe ghabraye, tu pagle o

insan agar hai tu sachha, to hoga achha ho
dekh nayi dunia ki ahe, bahe khol pukare
nayi subah ka suraj hoga, honge naye sitare
sapno ke sahar me jana hai, jakar ko pana hai