Puchho na kaise haye ji
Kaise pehli rat guzari
Kaise kahu kya haye kahu
Kya mere sath guzari
Puchho na kaise haye ji
Kaise pehli rat guzari
Kaise kahu kya haye kahu
Kya mere sath guzari
Wo pas mere aa baitha
Main pichhe hat gayi
Wo aur aage kiska
Main aur simat gayi
Usne pakdi kalayi
Maine jhat se chhuda li
Usne thama aanchal
To main bhagi machal kar
Par darwaja band tha
Jati to kaha jati
Thar thar lagi kapne
Jaise diye ki bati
Diye ki bati ho diye ki bati
To pakad liya saiya ne lapak ke hath
Phir puchho,
Puchho na kaise haye ji
Kaise pehli rat guzari
Kaise kahu kya haye kahu
Kya mere sath guzari
Le aaya hath pakad ke
Phir sej pe saiya
Main kuch na boli chali
Bas pad gayi paiya
Usne baho mein leke
Mujhko pas bithaya
Phir dhire se usne
Ghungat mera uthya
Main to sharam se mar gayi
Main dharti mein gad gayi
Meri sanse ruk gayi
Meri dhadkan bad gayi
O meri dhadkan bad gayi
Machhli ki tarha tadpi
Par chhuda na saki phir
Puchho na kaise haye ji
Kaise pehli rat guzari
Kaise kahu kya haye kahu
Kya mere sath guzari
Phir na jane kya sujhi
Saiya natkhat ko wo
Laga chumne gal gal
Pe bikhari lat ko
Main lat ko suljhau
Wo uljhata jaye
Wo badta hi aaye
Jab kuch bhi na sujhi
To ghat pala gayi
Aur main khud hi piya
Ke sine se lipat gayi
Haye sine se lipat gayi
Par samjh gayi sab bat
Phir bol na arey kya huya bol na
Phir puchho na.