chaand phir nikla, magar tum na aaye
jala phir mera dil, karu kya mai haay
chaand phir nikla, magar tum na aaye
jala phir mera dil, karu kya mai haay
chaand phir nikla
ye raat kahti hai vo din gaye tere
ye jaanta hai dil ke tum nahi mere
ye raat kahti hai vo din gaye tere
ye jaanta hai dil ke tum nahi mere
khadi mai hu phir bhi nigaahe bichhaaye
mai kya karu haay ke tum yaad aaye
chaand phir nikla, magar tum na aaye
jala phir mera dil, karu kya mai haay
chaand phir nikla
sulagte sine se dhua sa uthata hai
lo ab chale aao ke dam ghutata ha
sulagte sine se dhua sa uthata hai
lo ab chale aao ke dam ghutata hai
jala gaye tan ko bahaaro ke saaye
mai kya karu haay ke tum yaad aaye
chaand phir nikla, magar tum na aaye
jala phir mera dil, karu kya mai haay
chaand phir nikla