jahan kahin dipak jalta hai, waha patanga bhi aata hai
preet ki reet yahi hai murakh, tu kaahe ghabrata hai
parwaane ki naadani par duniya hansti hai to hanse
pyaar ki mithi aag me premi hanste hanste jal jaata hai
jo ek baar kah do ke tum ho humaare
to badle ye duniya badle nazaare
jo ek baar kah do ke tum ho humaare
to badle ye duniya badle nazaare
jo ek baar kah do
aakash me, aakash me chand taare hanse
humaare hi dil me andhera base
nigaaho ki galiyo me chori se aake
jo tum muskuraao to khil jaayen taare
jo ek baar kah do
suhaani hai ye, suhaani hai ye jindagi pyaar se
hai murakh jo pachhataye dil haar ke
ye baaji hai duniya me sabse niraali
jo haare so jeete jo jeete vo haare
jo ek baar kah do