Pardesi Aaya Des Lyrics | Pratiggya

                        
                        Pardesi aaya des mein
Des se mere gaon mein
Gaon se mere gali mein
Gali se mere ghar mein
Ghar se… Ghar se… Ghar se….
Ghar se mere dil mein
Ab dil se jaane ka naam na le
Ooi maa main ka karu
Ho besaram saram se jara kaam na le
Main sharamaati phiroo
Pardesi aaya des mein
Des se mere gaon mein
Gaon se mere gali mein
Gali se mere ghar mein
Ghar se mere dil mein
Ab dil se jaane ka naam na le
Ooi maa main ka karu
Ho besaram saram se jara kaam na le
Main sharamaati phiroo
Pardesi aaya des mein

Aake mere dwaare pe haai re bade mauke se
Bedard beimaan bekadar ne dhoke se
Bedard beimaan bekadar ne dhoke se
Jhaank liya tan man mein palkonke zaroke se
Ab saiyya baiyya kahi thaam na le
Ooi maa main ka karu
Ho besaram saram se jara kaam na le
Main sharamaati phiroo
Pardesi aaya des mein

Kaise badal sakata hai bhaagya ka jo lekha hai
Zulmi ke maathe pe aisi koi rekha hai
Zulmi ke maathe pe aisi koi rekha hai
Aisaa lage jaise pehale bhi kahi dekha hai
Dil tadape bina aaraam na le
Ooi maa main ka karu
Ho besaram saram se jara kaam na le
Main sharamaati phiroo
Pardesi aaya des mein gaon mein
Gali mein ghar mein dil mein.