Aamli Ki Taamli Taamli Ke Gaon Me Lyrics | Prem Bandhan

                        
                        aamli ki tamli tamli ke gao me
sawli si jhume shyamli ke pao me
bichhu kat jata hai to shor mach jata hai
aamli ki tamli tamli ke gao me
sawli si jhume shyamli ke pao me
bichhu kat jata hai to shor mach jata hai
ib kya hoga ib kya hoga ram hosh na aaya
aa gayi sham log bhag jate hai vaid ko bulate hai

vaid raz aate hai aur farmate hai
tauba iske naam se mera nahi ye kam
aag ka na pani ka rog ye jawani ka
jise lag jata hai use lag jata hai
aamli ki tamli tamli ke gao me
sawli si jhume shyamli ke pao me
bichhu kat jata hai to shor mach jata hai

ib kya hoga haye ram ho gayi sabki nind haram
vaid chala jata hai jogi aata hai hari om shankar
kanta lage na kankar shyamli ko dekh ke wo farmata hai
jhut ki kahani hai jhut ka fasana hai
kaisa ye zamana hai bichhu ka bahana hai
meri aankho ko to kuch aur nazar aata hai
aamli ki tamli tamli ke gao me
sawli si jhume shyamli ke pao me
bichhu kat jata hai to shor mach jata hai

ib kya hoga haye ram kis zulmi ka hai ye kam
jogi chala jata hai jadugar aata hai
jadu vadu dal ke wo bhi har jata hai
sangi sathi sare ji chinta ke mare ji
ram ke sahare ji dard ke mare ji
shyamli ke muh se koi naam nikal jata hai
naam nikal jata hai ib kya hoga haye ram
ab to ho gaye wo badnaam
log jan jate hai pahchan jate hai
ek pardeshi ko dhund kar late hai

sajan aur sajni dono pakde jate hai
prem ki zanzir me dono jhakde jate hai
unko umar kaid ka hukam ho jata hai
unko umar kaid ka hukam ho jata hai
aamli ki tamli tamli ke gao me
sawli si jhume shyamli ke pao me
bichhu kat jaye uska byah ho jata hai