chaah karni thi chaah kar baithe, zindagi hum tabaah kar baithe
ishq kyun khaam khaah kar baithe
zindagi hum tabaah kar baithe,ishq kyun khaam khaah kar baithe
na asar aansuon na aahon me, lut gaye hum wafa ki raahon me
ek patthar se chaah kar baithe
zindagi hum tabaah kar baithe, chaah karni thi chaah kar baithe
ho gaye hum gali gali ruswaa, ishqgar hai gunaah ai duniya
ab to hum ye gunaah kar baithe
zindagi hum tabaah kar baithe, ishq kyun khaam khaah kar baithe
abna duniya mai kuch raha apna, maut kar degi faisla apna
zindagi se nibah kar baithe
zindagi hum tabaah kar baithe, ishq kyun khaam khaah kar baithe
hum na kabil the unki hasti ke, hum the vasi garib basti ke
chand par kyun nigaah kar baithe
zindagi hum tabaah kar baithe, ishq kyun khaam khaah kar baithe