Dulhan Chali Lyrics | Purab Aur Pachhim

                        
                        Purab mein suraj ne
Chhedi jab kirno ki shehnaai
Chamak uthha sindoor gagan pe
Pachchim tak laali chhaayi
Hmmhmm

Dulhan chali haan pahen chali
Ho re dulhan chali ho pahen
Chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye
Ganga jamuna dekh ke duniya doli
Dulhan chali ho pahen
Chali teen rang ki choli
Aaho

Taaj mahal jaisi taaza hai surat
Chalti phirti ajanta ki murat
Mel milaap ki mehandi rachaaye
Balidaanon ki rangoli dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Ho

Aur sajegi abhi aur sawregi
Chadhhti umariya hai aur nikhregi
Apni aazaadi ki dulhaniya
Deep ke upar holi dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli
Baagon mein laheraaye
Ganga jamuna dekh ke
Duniya doli dulhan chali
Ho pahen chali teen rang ki choli

Desh prem hi azaadi ki
Dulhaniya ka war hai
Is albeli dulhan ka
Sindoor suhaag amar hai
Maata hai kasturba
Jaisi baabul gandhi jaise

Baabul gandhi jaise
Chaacha iske nehru
Shaastri daren na dushman kaise
Daren na dushman kaise
Veer shivaaji jaise viren
Lakshmi baai behna
Lakshman jis ke bodh
Bhagat singh uska phir kya kehna

Uska phir kya kehna
Jiske liye jawaan baha sakte
Hain khoon ki ganga
Jiske liye jawaan baha sakte
Hain khoon ki ganga
Aage peechhe teenon
Sena le ke chalen tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga
Sena chalti hai le ke tiranga

Ho koyi hum praant ke
Vaasi ho koyi bhi bhasha bhaashi
Sabse pehle hain bharatvasi
Sabse pehle hain bharatvasi
Sabse pehle hain bharatvasi
Sabse pehle hain bharatvasi
Sabse pehle hain bharatvasi.