Jalim jaha ne tumse mujhe dur kar diya
Kismat ne mujhko rone par majbur kar diya
Jo kal ga rahe the khushi ka tarana
Wahi ban gaya gum ka fasana
Najr fer kar tumne badla jamana
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Jo kal ga rahe the khushi ka tarana
Wahi ban gaya gum ka fasana
Najr fer kar tumne badla jamana
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Lagakar ke do roz chahat ke mele
Mere dil ki masum khushiyo se khele
Lagakar ke do roz chahat ke mele
Mere dil ki masum khushiyo se khele
Mujhe chod kar chal diye tum akele
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Jagah dil mein di thi najar se giraya
Charag e mohabbat jalakar bujhaya
Jagah dil me di thi najar se giraya
Charag e mohabbat jalakar bujhaya
Mujhe pyar mein haste haste rulaya
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Jo kal ga rahe the khushi ka tarana
Wahi ban gaya gum ka fasana
Najr fer kar tumne badla jamana
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Mere pyar ko dil ki ek bhul samjhe
Mujhe ek sukha hua phul samjhe
Mere pyar ko dil ki ek bhul samjhe
Mujhe ek sukha hua phul samjhe
Kuchal ke gaye rah ki ek dhul samjhe
Magar tumse koi sikayat nahi hai
Jo kal ga rahe the khushi ka tarana
Wahi ban gaya gum ka fasana
Najr fer kar tumne badla jamana
Magar tumse koi sikayat nahi hai.