prem hai radha prem hai meera
prem hai radha prem hai meera
prem ram ki sita in naino me padh le koi
in naino me padh le koi mere prem ki geeta
prem hai radha prem hai meera
thumak thumak ek nar naweli
tan sundar hai sugandh chameli
prem agan liye man me akeli
chali bujhne prem paheli aaj talak koi samjh na paya
kya hai prem ki bhasha aaj talak koi samjh na paya
kya hai prem ki bhasha ek jagah dekhi hai maine
aasha or nirasha beet gayi hai sadiya kitni
beet gayi hai sadiya kitni prem ka pal na beeta
prem hai radha prem hai meera
prem hai radha prem hai meera
madhur madhur natkhat yauwan hai
marig nayni kaya kanchan hai
phulkit chit chanchal chitwan hai
ati vyakul man ki dhadkan hai
gunj rahi mere kano me isne prem ki bansi
gunj rahi mere kano me isne prem ki bansi
rah rah ke chanchal hota hai mere man ka panchi
jeet liya usne jag sara jeet liya usne jag sara
jisne man ko jeeta in nayno me padh le koi
in nayno me padh le koi mere prem ki geeta
prem hai radha prem hai meera