Agar bewafa tujhko pehchaan jaate
Khuda ki kasam hum mohabbat na karte
Jo maloom hota yeh anjaam e ulfat to
Dil ko lagaane ki zurrat na karte
Agar bewafa tujhko pehchaan jaate
Khuda ki kasam hum mohabbat na karte
Jinhe tumne samjha meri bewafai
Meri zindagi ki wo majbooriyaan thi
Jinhe tumne samjha
Hamari mohabbat ka ik inthaan tha
Yeh do din ki thodi jo dooriyan thi
Jo dooriyan thi
Agar sacchi hoti mohabbat tumhari to
Ghabra ke tum yun shikayat na karte
Agar bewafa tujhko pehchaan jaate
Khuda ki kasam hum mohabbat na karte
Jo hum pe hai guzri hami jaante hain
Sitam kaun sa hai nahi jo uthaya
Jo hum pe hai guzri
Nigaho main phir bhi rahe teri surat
Har ik saans main tera paigaam aaya
Paigaam aaya
Agar jaante tum hi ilzaam doge to
Bhoole se bhi tumko ulfat na karte
Agar bewafa tujhko pehchaan jaate
Khuda ki kasam hum mohabbat na karte.