zindagi se chura ke zindagi me basa ke
zindgani banaya hai tujhe
ruthe rab ko mana ke aasman ko jhuka ke
zindgani banaya hai tujhe
tu mila jis tarah saba mile
tu mila jis tarah sila mile
tu mila jis tarah dua mile bakhuda
tu mila to jaise main jee gaya
tu mila mukkamal main ho gaya
tu mila to phaila hai noor sa bakhuda
zindagi se chura ke zindagi me basa ke
zindgani banaya hai tujhe
mehfooz tu mehsoos kar tere paas hu main sada
tujhse nahi ho sakta main pal bhar bhi ab juda
ab saath hai hum is tarah aankho ke sang palke
aa waqt ko ye baat hum ik baar phirse keh de
sare gam se chhupa ke, har nazar se bacha ke
zindagani banaya hai tujhe
tu mila jis tarah saba mile
tu mila jis tarah sila mile
tu mila jis tarah dua mile bakhuda
tu mila to jaise main jee gaya
tu mila mukkamal mai ho gaya
tu mila to phaila hai noor sa bakhuda
baaho me aa ho jayenge shikwe sabhi khud fana
hotho se main tujhko sunu, aankho se tu kuchh suna
tu aksh hai main aaina phir kya hai sochna
ik doosere me khoke hai ik doosre ko paana
kismato ko jaga ke, har jaha ko hara ke
zindagani banaya hai tujhe
tu mila jis tarah saba mile
tu mila jis tarah sila mile
tu mila jis tarah dua mile bakhuda
tu mila to jaise main jee gaya
tu mila mukkamal main ho gaya
tu mila to phaila hai noor sa bakhuda