Welcome Entertainment Lover’s

Gaj Bhar Ka Ghoonghat Lyrics | Raj Darbar

                        
                        Gaj bhar ka ghunghat
Nikaal meri raani
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai
Aankhon ko apni
Sambhaal mere raja
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai

Premi ke dil ko
Tum jo khareedo
Bolun mein is ki
Neelaami ho uo
Bolun mein is ki neelaami
Aashiq baney ho itna to socho
Sabse buri hai ghulaami
Badlo zaraa apni
Chaal mere raja
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai
Gaj bhar ka ghunghat
Nikaal meri rani
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai

Tumko jo chhodun
Munh ko jo modun
Kya haal hoga tumhaara ho uo
Kya haal hoga tumhaara
Hum to hain saadhu
Dil par hai kaabu
Kar lenge tum bin guzaara
Hum to hain saadhu
Dil par hai kaabu
Kar lenge tum bin guzaara
Bhulenge tera
Khyaal meri raani
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai
Aankhon ko apni
Sambhaal mere raja
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai

Duniya mein aisa
Dekha tamaasha
Billi ko chuhe daraye ho uo
Billi ko chuhe daraye
Kalyug ki saari
Baaten hain nyaari
Sheron ko geedad sataayen
Ye hai zamaane ka
Haal mere raja
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai
Arre gaj bhar ka ghunghat
Nikaal meri rani
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai
Aankhon ko apni
Sambhaal mere raja
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai ho
Zamana bura hai.