bhagwan bhagwan bhagwan na mangu mai tera jahan
parbhu na mangu swarg ka dan mujhe dena yahi wardan
ke jisne mera kiya hai bura tu uska karde bhala bhagwan
tu uska karde bhala bhagwan
bhed bhaw ka khel racha kar hum bante hai andhe
kon dost hai kon dusman sabhi hai tere bande
tu hai sabka pita balwan teri jo nirbal hai santan
tu unka karde bhala bhagwan tu unka karde bhala bhagwan
sabhi tumhari leela hai parbhu kya raja kya rank ho
koyal mithe geet sunaye koyal mithe geet sunaye
saap marta dank ye sab hai tera farman
inhe apne ki nahi pahchan
tu inka karde bhala bhagwan tu inka karde bhala bhagwan
mujh par jinhone pathar giraye mujh par jinhone pathar giraye
unko de phulo ki mala mujhko jinhone jahar pilaya
unko de amrat ka pyala unko de amrat ka pyala
apni galti se wo anjan natije ka hai nahin unhe gyan
tu unka karde bhala bhagwan tu unka karde bhala bhagwan