Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hain insan ka
Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hain insan ka
Iske bad hi panna kholo
Geeta aur kuran ka
Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hain insan ka
Iske bad hi panna kholo
Geeta aur kuran ka
Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hain insan ka
Kaun sa garnth ye kahta hain
Ye tera hain ye mera hain
Kaun sa garnth ye kahta hain
Ye tera hain ye mera hain
Sab hi sant kahe ye duniya
Char dino ka dera hain
Yahi char din jiyo pyar se
Kyu khatra ho jan ka
Iske bad hi panna kholo
Geeta aur kuran ka
Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hain insan ka
Pyar hi hain insan ka majhab
Har bhasha ka matlab pyar
Pyar hi hain insan ka majhab
Har bhasha ka matlab pyar
Ram rahim isha aur nanak
Pyar ki beena ke hain tar
Dharm ke nam pe jhagda karna
Kam hain ye shaitan ka
Iske bad hi panna kholo
Geeta aur kuran ka
Insaniyat hi sabse pahla
Dharam hai insan ka
Jago warna duniya ka gulshan
Virana ho jayega
Jago warna duniya ka gulshan
Virana ho jayega
Maut ki jeet mein har ek insan
Bematlab so jayega
Kuch na rahega kuch na bachega
Itne bade jahan ka
Iske bad hi panna kholo
Geeta or kuran ka.