Sulgi hui hai raakh
Dil mein dabi
Guzri hui aahat
Suni hai abhi
Pal pal kaleje jo
Chubhti hai aawaz si
Seene mein atki hai
Ek cheekh naraaz si
Aye zindagi kuchh to bata
Hai yeh sab kya
Chadh gaya saleeb pe
Tukda tukda khwaab kya
Dil dard ke paaton
Mein pisne laga
Sannaata lamhon
Se risne laga
Malba hai bikhra hua
Har taraf khwaab ka
Dariya hamein paar
Karna hai tezaab ka
Aye zindagi le chal wahaan
Dil ka jahaan hai jahaan
Kyun bhala zinda rahein
Trishna trishna hum yaha
Yeh to woh duniya nahi
Le kar chal dil ko wahin
Chun lenge apni
Zameen aasmaan
Saazish ke saahil se
Takraayein na kashtiyan
Khwaahish ke hothon ko
Chhu na sake talkhiyan
Aye zindagi le chal wahaan
Ghum jaaye mehroomiyaan
Kyun bhala zinda rahein
Trishna trishna hum yaha.