tufaan sa jor hai ham me, bijli sa shor hai ham me
are baadalo ko chir ke jaana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
samundar sa josh hai ham me, hosho sa hosh hai ham me
dharti pe chaand ko laana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
pichhe ke raste mitate huwe aage nikal jaayenge
chalte chalte saare jahaan ko apni dhun pe nachaayenge
bawander si jaan hai ham me, parindo si udaan hai ham me
aasmaan ko chhu kar aana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
jhukte nahi hai ham kisi ke aage yeh tum jaan lo
ham sa nahi hai koyi jahan me baat yeh maan lo
chattano sa ruab hai ham me, irade bhi thos hai ham me
bijli se aankh milaana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
arre tufaan sa jor hai ham me, bijli sa shor hai ham me
baadalo ko chir ke jaana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
samundar sa josh hai ham me, hosho sa hosh hai ham me
dharti pe chaand ko laana hai, har pyare ko pyar se bharna hai
pyar se bharna hai