gujar na jaaye ye khwaab sa safar
gujar na jaaye ye khwaab sa safar
sab kuch simat ke aaya hai
sirf ek pal me
baahon me thaam lo tum
ke phir mile na mile
gujar na jaaye, gujar na jaaye
keh diya hai aaj aakhir tumse
jo chhupaaye hum rahe gum sum se
isse pehle bat hi jaaye raste
apne bhi dil ki kaho kuch hamse
tumhaari jo khaamoshi hai
kahaaniya si kahti hai
tumhaari jo tamanna hai
wo muh chhupaaye rahti hai
sab kuch simat ke aaya hai
sirf ek pal me
baahon me thaam lo tum
ke phir mile na mile
gujar na jaaye ye khwaab sa safar
gujar na jaaye, na jaaye
puchhte ho haal mere dil ka
hosh hai na raah na manjil ka
ye badan me kya pighalta jaaye
ek nasha ho jaise halka halka
safar ye khatam na ho
raahe kabhi kam na ho
mile na mile manjil
bhichhdane ka ghum na ho
sab kuch simat ke aaya hai
sirf ek pal me
baahon me thaam lo tum
ke phir mile na mile
gujar na jaaye ye khwaab sa safar
gujar na jaaye, na jaaye