phir tumhaari yaad aayi aye sanam, aye sanam
phir tumhaari yaad aayi aye sanam, aye sanam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
haal-e-dil yaar ko likhu kaise
haath dil se juda nahi hota
kis tarah unko bataaye apna gham, aye sanam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
jabse dekhi surat unki, ham shama jalana bhul gaye
ruksar ki surkhi kya kahiye, phulo ka fasana bhul gaye
bas itni kahani hai apni, jab aankh mili behosh huye
daman se hawa tum kar na sake, ham hosh me aana bhul gaye
kitne pyare hai mohabbat ke sitam, aye sanam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
kya lutf aa raha tha, kya lutf aa raha tha
kya lutf aa raha tha, dilbar ki dillagi se
najre bhi thi mujhi par, parda bhi tha mujhi se
kya hasin tasvir thi, allaah kasam, aye sanam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
phir tumhaari yaad aayi aye sanam, aye sanam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam
ham naa bhulenge tumhe, allaah kasam.