Pyar ki raah bahar ki manzil
Pyar ki raah bahar ki manzil
Pane wale paa hi gaye
Preet ki reet nibhane wale
Preet ki reet nibhane wale
Banke sathi aa hi gaye
Dil se hua hai dil ka milan
Dharti ka jhuk jhuk chume gagan
Jhum uthi asha ki ghata nach
Utha ulfat ka chamna
Phool bhi dekhle ru tera
Janeman sharma hi gaye
Pyar ki raah bahar ki manzil
Pyar ki raah bahar ki manzil
Pane wale paa hi gaye
Deep khsuhi ke dil me jale
Gham ke ghanere saye dhale
Lagta hai aisa pake tumhe
Dunia hai jaise paawo tale
Preet ki reet nibhane wale
Preet ki reet nibhane wale
Banke sathi aa hi gaye
Jaan se pyara hai ye safar
Sham hai apni apni sahar
Kaid se panchhi chhut gaye
Dur hua saiyad ka dar
Pyar ki mauj me dub ke do dil
Aaj kinara paa hi gaye
Pyar ki raah bahar ki manzil
Pyar ki raah bahar ki manzil
Pane wale paa hi gaye.