Ai Dost Mere Maine Duniya Dekhee Hai Lyrics | Sachaai

                        
                        aye dost mere maine duniya dekhi hai
achi tarah apni, najar se dekhi hai
yaha achha bura kaun, hai pahachanna mushkil
aye dost mere maine duniya dekhi hai
aye dost mere maine duniya dekhi hai
achi tarah apni najar se dekhi hai
yaha achha bura kaun, hai pahachanna mushkil
aye dost mere maine duniya dekhi hai

sach ki puja karne vale, hamne bhukhe marte dekhe
jhuth ka daman thamne, vale hamane mauje karte dekhe
phulo ki sej par
phulo ki sejo par so kar, jhuthe ko aaram na aaye
lekin sache ko pal bhar me, kanto par bhi nind aa jaye
aye dost, aye dost
aye dost mere maine duniya dekhi hai
achi tarah apni najar se dekhi hai
yaha achha bura kaun, hai pahachanna mushkil
aye dost mere maine duniya dekhi hai

jiska man ho saaf wo girkar, bhi upar aa jata hai
chand ko dekho jo ghat ghat, kar phir bhi aage badh jata hai
jiska tara chamka
jiska tara chamka sabne, badhakar uska sath diya
girate ko yaha kisane thama, kisne usko hath diya
aye dost mere maine duniya dekhi hai
achi tarah apni najar se dekhi hai
yaha achha bura kaun, hai pahachanna mushkil
aye dost mere maine duniya dekhi hai

apani to har subah holi apani, to har shaam divali
do din ki ye duniya sath nahi, hai jaane wali
is dunia me
is dunia me jine ki aye dost, ada kuch or hi hai
dekh parayi aag me jalkar, iska maja kuch or hi hai
aye dost, aye dost
aye dost mere maine duniya dekhi hai
achi tarah apni najar se dekhi hai
yaha achha bura kaun, hai pahachanna mushkil
aye dost mere maine duniya dekhi hai.