beet chali haye ram rut ye bahaar ki
beet chali haye ram rut ye bahaar ki aye na ab tak balma
dhire dhire tut rahi aas mere pyar ki
aaye na ab tak balma aaye na ab tak balma
teri yado ko dilse lagaye hue
kab se baithi hu ankhiya bichaye hue
teri yado ko dilse lagaye hue
kab se baithi hu ankhiya bichaye hue
jane wale judai me teri mujhe
jane wale judai me teri mujhe
ek jamana hua muskuraye hue
beet chali haye ram rut ye bahaar ki
aye na ab tak balma aye na ab tak balma
mere sawan me dil mera jalta raha
tera gum mere sine me palta raha
mere sawan me dil mera jalta raha
tera gum mere sine me palta raha
mai khadi hi rahi dil ko thame hue
mai khadi hi rahi dil ko thame hue
dard virah ka karwat badlata raha
beet chali haye ram rut ye bahaar ki
aye na ab tak balma aye na ab tak balma
ek din aake wada nibhaoge tum man ke
ujade nagar ko basaoge tum
ek din aake wada nibhaoge tum man ke
ujade nagar ko basaoge tum
ji rahi hu abhi tak isi aas par ji rahi hu abhi tak isi aas par
aake sine se mujhko lagaoge tum
beet chali haye ram rut ye bahaar ki
aye na ab tak balma ho aye na ab tak balma
dhire dhire tut rahi aas mere pyar ki
aaye na ab tak balma ho aaye na ab tak balma.