Garaj Ho To Nakhre Dikhati Hai Lyrics | Sachche Moti

Lyricist : Sahir Ludhianvi
Music Director : Omi , N Dutta
Singer : Mohammed Rafi
                        
                        Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Are garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

Kahi mukh churaye to kuchh baat samjho
Mohabbat jataye to kuchh baat samjho
Bina bat surma lagati nahi ye
Kabhi muh pe powder jamati nahi ye
Ye jab bhi takalluf pe tyyar hogi
Koi na koi chiz darkar hogi
Koi na koi chiz darkar hogi
Kaha warna julfe banati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

Haye padoshan ki sadi pe dil aa gaya ho
Ya sone ka locket koi bha gaya ho
Cinema ya thietar me jane ki dhun ho
Ke bhiaya ko dulha banane ki dhun ho
Kisi byah sadi ki dawat mili ho
Garaz koi mahangi jarurat padi hai
Garaz koi mahangi jarurat padi hai
Tabhi itne kartab dikhati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi

Achanak barasta hai jab pyar iska
Kapat me hota hai har war iska
Mohabbat ke dokhe me hargiz na aana
Bada magar ? Hai ye jamana
Nahi chahte ho jo nuksan sahna
To sunlo meri jan ye jani ka kahna
To sunlo meri jan ye jani ka kahna
Ke has has ke kaichi chalati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi
Nahi to kaha muh lagati hai biwi
Garaz ho to nakhre dikhati hai biwi.