Jeevan se bhari teri aankhen
Majboor karen jeene ke liye, jeene ke liye
Saagar bhi taraste rehte hain
Tere hoth ka ras peene ke liye, peene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen
Tasveer banaye kya koi
Kya koi likhe tujh pe kavita
Rangon chhandon mein samayegi
Rangon chhandon mein samayegi
Kis tarah se itni sundarta, sundarta
Ek dhadkan hai tu dil ke liye
Ek jaan hai tu jeene ke liye, jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen
Madhuban ki sugandh hai saanson mein
Baahon mein kamal ki komalta
Kirnon ka tej hai chehre pe
Kirnon ka tej hai chehre pe
Hirnon si hai tujh mein chanchalta, chanchalta
Aanchal ka tere hai saar bahut
Koi chaak jigar seene ke liye, seene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen
Majboor karen jeene ke liye, jeene ke liye
Jeevan se bhari teri aankhen.