Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahin koi jaana nahin
Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahin koi jaana nahin
Hai ye kaisi dagar chalte hain sab magar
Koi samjha nahin koi jaana nahin
Zindagi ko bahut pyaar hamne kiya
Maut se bhi mohabbat nibhaaenge ham
Rote rote zamaane mein aaye magar
Hanste hanste zamaane se jaaenge ham
Jaaenge par kidhar hai kise ye khabar
Koi samjha nahin koi jaana nahin
Aise jeevan bhi hain jo jiye hi nahin
Jinko jeene se pehle hi maut aa gayi
Phool aise bhi hain jo khile hi nahin
Jinko khilne se pehle fiza kha gai
Hai pareshaan nazar thak gaye chaaraagar
Koi samjha nahin koi jaana nahin
Zindagi ka safar hai ye kaisa safar
Koi samjha nahin koi jaana nahin.