apni maa ki kismat par mere bete tu mat ro
apni maa ki kismat par mere bete tu mat ro
mai to kanto me ji lungi ja tu phulo par so
apni maa ki kismat par
tuhi mere din ka suraj tuhi meri rat ka chanda
ek din to dega tuhi mere ant samay me kandha
mera dekh ke ujada jiwan tu aaj dukhi mat ho
mai to kanto me jee lungi ja tu phulo par so
apni maa ki kismat par
hansne ke ye din hai tere rone se tera kya nata
hansne ke ye din hai tere rone se tera kya nata
rone ke liye to beta janni hai jagat me mata
mere lal ye aansu de de apni dukhiya maa ko
mai to kato me jee lungi ja tu phulo par so
apni maa ki kismat par mere bete tu mat ro
mai to kato me ji lungi ja tu phulo par so
apni maa ki kismat par.