apni mata ke dulara bachche
tujhpe kurban mai pyare bachche
tere aasu mai sah nahi sakta
aisa kyu hai mai kah nahi sakta
tere aasu mai sah nahi sakta
aisa kyu hai mai kah nahi sakta
aa mere paas chup kyu baitha hai
aaj se tuhi mera beta hai
aa mere paas chup kyu baitha hai
aaj se tuhi mera beta hai
tu mujhe lag raha hai apna sa
mera khoya hua ek sapna sa
mere hatho me dede hath apna
jindagi bhar rahega sath apna
akela ro nahi birane me
koi tera bhi hai jamane me
ye mat samjh ki kisi se na tera nata hai
ab to is desh ki mati hi teri mata hai
bhul biti hui kahani ho yu na
barbad kar jawani ho
jindagi data ka ahsan samjh
ise bhagwan ka wardan samjh
tujhe jiwan yaha jina hoga
har aasu yaha pina hoga
apni bigdi ko tu bana bachche
ek dunia nayi basa bachche
apni bigdi ko tu bana bachche
ek dunia nayi basa bachche
apni kismat tu jaga sakta hai
aag pani me laga sakta hai
jindagi yu na dubao aaho me
aaja ab meri khuli baho me
tere jiwan me yahi hona tha
tere jiwan me yahi hona tha
kisiko paake tujhe khona tha
jane wala to kabhi laut ke na aata hai
ab to is desh ki mati hi teri mata hai
jane wala to kabhi laut ke na aata hai
ab to is desh ki mati hi teri mata hai
ab to is desh ki mati hi teri mata hai
ab to is desh ki mati hi teri mata hai.