Kab Tere Husn Se Inkar Kiya Lyrics | Sandhya

                        
                        Kab tere husn se inkar kiya hai maine
Kab tere husn se inkar kiya hai maine
Zindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine

Muskurati hai kisi aankh me kajal banke
Kisi ke dhadak uthti hai aachal banke
Kabhi phulo ke kataro se chalak jati hai
Kabhi shole kabhi shabnam se
Lapak jati hai
Kaise kaise tera didar kiya hai maine
Kaise kaise tera didar kiya hai maine

Tu har ek rang har ek say me
Najar aati hai
Jarre jarre se kiran bankar
Ubhar aati hai
Tere jadu teri khusbu teri muskano ko
Tere umade hue machale hue
Toofano ko
Apni sanso me giraftar kiya hai maine
Zindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine

Tujhko chaha to magar koi takaja na kiya
Maine bhule se tere pyar ko ruswa na kiya
Ye bata maine kabhi tujhse churai aankhe
Tere chehre se kaha maine hatai aankhe
Mujhko kab tera gunehgar kiya hai maine
Zindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
 
Maut aayegi to ek pal ki
Na fursat degi
Maut aayegi to ek pal ki
Na fursat degi
Sans lene ki bhi kambakt
Na mohlat degi
Jite jee kisliye phir aapko
Nasad kare
Jite jee kisliye phir aapko
Nasad kare
Zindagi ek bhi pal kyu tera barbad kare
Lamha lamha ye ikrar kiya hai maine
Zindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine
Zindagi tujhse bahut pyar kiya hai maine.