mere man ki ganga aur tere man ki jamuna ka
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
are bol raadha bol sangam hoga ki nahi
nahi, kabhi nahi
kitni sadiya beet gayi hai hay tujhe samjhaane me
mere jaisa dhiraj vaala hai koi aur zamaane me
man ka badhata bojh kabhi kam hoga ki nahi
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
mere man ki ganga aur tere man ki jamuna ka
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
are bol raadha bol sangam hoga ki nahi
jaa jaa
do nadiyo ka mel agar itna paavan kahlata hai
kyu na jaha do dil milte hai, svarg vaha bas jaata hai
har mausam hai pyaar ka mausam hoga ki nahi
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
mere man ki ganga aur tere man ki jamuna ka
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
are bol raadha bol sangam hoga ki nahi
teri khaatir main tarsa yu jaise dharati saavan ko
raadha raadha ek ratan hai saans ki aavan jaavan ko
patthar pighale dil ye tera nam hoga ki nahi
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
mere man ki ganga aur tere man ki jamuna ka
bol raadha bol sangam hoga ki nahi
are bol raadha bol sangam hoga ki nahi
jaao na kyon sataate ho hoga, hoga, hoga