meharbaan likhu, hasina likhu ya dilruba likhu
hairan hu ki aapko is khat me kya likhu
ye mera prempatra padh kar ke tum naraz na hona
ki tum meri zindagi ho, ki tum meri bandagi ho

tujhe mai chanda kahta tha magar usme bhi daag hai

tujhe suraj mai kahta tha magar usme bhi aag hai
tujhe itna hi kahta hu ki mujhko tumse pyaar hai
tumse pyaar hai, tumse pyaar hai
ye mera prempatra padh kar ke tum naraz na hona
ki tum meri zindagi ho, ki tum meri bandagi ho
tujhe ganga mai samjhunga, tujhe jamuna mai samjhunga

tu dil ke paas hai itni tujhe apna mai samajhunga
agar mara jaau ruh bhatakegi tere intzar me
intzar me, intzar me