Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Duniya ye kah rahi hai ke diwana ho gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Ye husn tera khilta hua sa gulab hai
Ye husn tera khilta hua sa gulab hai
Aankhe teri hasin kawal ka shabab hai
Tu lajawab hai
Wo khush nasib hai teri mehfil mein jo gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Koi na jisko samjha tu ek aisa raz hai
Koi na jisko samjha tu ek aisa raz hai
Mujhko bhi aaj apne mukaddar pe naz hai
Tu dil navaj hai
Aashiq hu teri zulf ke saye mein so gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Daman chhuda ke jao na itne garur se
Daman chhuda ke jao na itne garur se
Kya hai kasur puchhte hai ham hujur se
Dekho na dur se
Kar do khata maf jo hona tha ho gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya
Duniya ye kah rahi hai ke deewana ho gaya
Main to tere haseen khayalon mein kho gaya.