Welcome Entertainment Lover’s

Lucknow Chhoota To Dilli Ne Loota Lyrics | Sarkari Mehman

                        
                        lucknow chhuta to dilli ne luta
lucknow chhuta to dilli ne luta
ye mana kabhi main naadaan thi
ye mana kabhi main naadaan thi
yaaro ne dikhaya mujhe har khaab jhutha
lucknow chhuta to dilli ne luta
lucknow chhuta to dilli ne luta

dilli shahar se jab kiya kinara
to bambai me chamka kismat ka sitara
dilli shahar se jab kiya kinara
to bambai me chamka kismat ka sitara
hazaaro hai dil mere kadmo ke niche
ke rahti hai daulat mere aage pichhe
lutaane lage, log mujhpe dilo jaan
mere khaab karte, hai sabko pareshaan
vo shohrat hui mere naam ki
haay vo shohrat hui mere naam ki
ho ab main dikhaati firun sab ko angutha
lucknow chhuta to dilli ne luta
lucknow chhuta to dilli ne luta

meri najar ka bana jo nishana
vo raha umar bhar mera hi diwana
meri najar ka bana jo nishana
vo raha umar bhar mera hi diwana
kai khun karti hun main dil dahaade
ki kaanun bhi mera kuch na bigaade
ye fankaar mara, gajardaar mara
sabhi ko ban ke gunehgaar mara
mere hath me hai dukhti rage
mere hath me hai dukhti rage
ho usi ne manaya mujhe jo mujh se rutha
lucknow chhuta to dilli ne luta
lucknow chhuta to dilli ne luta
ye mana kabhi main naadaan thi
haay mana kabhi main naadaan thi
ho yaaro ne dikhaya mujhe har khaab jhutha
lucknow chhuta to dilli ne luta
lucknow chhuta to dilli ne luta