chha raha hai andhkar chha raha hai andhkar
chha raha hai andhkar chha raha hai andhkar
badh raha hai dhara ka bhaar
dharm dagmaga raha adharm chha raha
aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
prabhu aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
chha raha hai andhkar
apne janam dene vale se ye dur hai
abhiman ke nashe me dekho kitna chur hai
ek chhote se dimag pe kitna akad raha
khud ke banaye jaal me khud ko jakd raha
chal kapat bhare vichar juth nit ghade man hajar
apne chirag se hi apna ghar jala raha
aaj aadami tera kidhar hai ja raha
prabhu aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
chha raha hai andhkar
nayay niti preet dharm karam se fira hua
kaam krodh lobh moh mad se hai gira hua
insan kya bhagwan se bhi nasamajh uljh raha
ye apne samne kisi or ko kuch nahi samajh raha
kar raha hai atyachar mach raha hai hahakaar
aaj aadmi ko aadmi hai kha raha
aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
prabhu aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
chha raha hai andhkar
chhaye rahe ye jurm ke badal kab talak
gila rahega dharti ka aanchal ye kab talak
sahte rahenge bhakt ye apmaan kab talak
soya rahega savrag me bhagwan kab talak
aaj vishv ki pukar gunjti hai bar bar
aatma ka taar jhan jhana raha
aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
prabhu aaj aadmi tera kidhar hai ja raha
chha raha hai andhkar
aasman kyo nahi tutta dharti kyo nahi dol rahi
bhasm sath karne apna jwalamukhi na khol rahi
sirsindhu me jvar na aata sirsindhu me jvar na aata
shesh naag kyo mon hai aaj pralay se hume bachane
shiva vishnu ke kon hai
he vishnu bhagwan he sarv shaktiman
he vishnu bhagwan he sarv shaktiman
trahimam trahimam trahimam trahimam.