kaun tere sapno me aata
kaun tere sapno me aata
aake naino me muskata
na ja na na ja hume to ye batao
jud gaya kis se ye nata
kaun tere sapno me aata
hato ri sakhiyo se na bolu
bhed mere man ka na kholu
jao re sakhi jao mujhe na yu satao
khel mere man ko na bhata
kaun tere sapno me aata
mai to soyi thi nind me khoyi thi
chupke se koi aa gaya
mai to soyi thi nind me khoyi thi
chupke se koi aa gaya
megh haran tha kamal charan tha
mere jivan me sama gaya
chupke kano me kuch bola
hole se ghunghat pat khola
sakhi mai ghabrayi lakh sharmayi
aage ab kuch na kaha jata
kaun tere sapno me aata
veer purush tha kandhe dhanush tha
mukh pe tej samaya
veer purush tha kandhe dhanush tha
mukh pe tej samaya
jan nahi pahchan nahi koi
fir bhi vo man ko bhaya preet meri muskayi hai
puja meri rang layi hai
chhudaye se na chhute tode se nahi tute
janam janmantar ka nata
kaun tere sapno me aata
kaun tere sapno me aata
aake naino me muskata
na ja na na ja hume to ye batao
jud gaya kis se ye nata
kaun tere sapno me aata.