parbato ke pedo par shaam ka basera hai
parbato ke pedo par shaam ka basera hai
surmayi ujaala hai, champayi adhera hai
surmayi ujaala hai
dono vaqt milate hai do dilo ki surat se
dono vaqt milate hai do dilo ki surat se
aasma ne khush hokar rang saa bikhera hai
aasma ne khush hokar
thahte-thahre paani me git sar-saraate hai
thahte-thahre paani me git sar-saraate hai
bhige-bhige jhoko me khushabuo ka dera hai
bhige-bhige jhoko me khushabuo ka dera hai
parbato ke pedo par
kyo na jazb ho jaaye is hasin nazaare me
kyo na jazb ho jaaye is hasin nazaare me
roshni ka jhurmat hai mastiyo ka ghera hai
roshni ka jhurmat hai mastiyo ka ghera hai
parbato ke pedo par
ab kisi nazaare ki dil ko aarzu kyo ho
ab kisi nazaare ki dil ko aarzu kyo ho
jab se pa liya tumko sab jahan mera hai
jab se pa liya tumko sab jahan mera hai
parbato ke pedo par shaam ka basera hai
parbato ke pedo par