Jalte bhi gaye
Kahte bhi gaye
Aazaadi ke parwaane
Jeena to usi ka jeena hai
Jo marna watan pe jaane
Ae watan ae watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Phool kyaa cheez hai tere qadmon pe ham
Bhent apne saron ki chadhaa jaayenge
Ae watan ae watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Ae watan ae watan
Koi punjab se koi maharashtra se
Koi up se hai koi bangal se
Koi punjab se koi maharashtra se
Koi up se hai koi bangal se
Teri pooja ki thaali mein laaye hain ham
Teri pooja ki thaali mein laaye hain ham
Phool har rang ke aaj har daal se
Phool har rang ke aaj har daal se
Naan kuchh bhi sahi
Par lagan ek hai
Jyot se jyot dil ki jagaa jaayenge
Ae watan ae watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Ae watan ae watan
Teri jaanib uthhi jo kehar ki nazar
Us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham
Teri jaanib uthhi jo kehar ki nazar
Us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham
Teri dharti pe hai jo qadam ghair ka
Us qadam ka nishaan tak mitaa denge ham
Jo bhi deewaar ab aayegi saamne
Thhokaron se usse ham giraa jaayenge
Ae watan ae watan hamko teri qasam
Teri raahon mein jaan tak lutaa jaayenge
Ae watan ae watam.