Welcome Entertainment Lover’s

Pyari Pyari Ye Sukhad Maatrubhumi Apni Lyrics | Shakuntala

                        
                        pyari pyari pyari pyari ye sukhad matrubhumi apni
ye sukhad matrubhumi apni pyaari pyari pyari pyari
aaryavrat hai sunaam jiska aaryavrat hai sunaam jiska
shobha jag se nyari shobha jag se nyari pyari pyari
ek anek bhaye jab milke tirath attal pukari
aaj hai vishwamrit ke jinse aag tapasya haari
kathin tapasya dekh rishi ki indradev gaye haari
tap todan surpur se bheji sughar menka naari sughar menka

main prem ki pyasi nitt prem ki pyasi bani ban waasi
ban me tumhare aayi ban me tumhare aayi
nain khol dekho bairaagi nain khol dekho bairaagi
bairagan kya layi bairagan kya layi

main rukhmani tum gyaan jayi main vilas tum vanvasi
prem bina sab gyan adhura prem bina sab gyan adhura
mat bhulo sanyasi mat bhulo sanyasi
ek prem ki pyasi bani banwasi ban me tumhaare aayi
nain khol dekho bairagi bairagan kya layi
bairagan kya layi

indra ki mohini sohni maa bani
ek kanya ka sundar use phal mila
lage tap me aur woh chali swarg ko
maar man aur pathar sa mann ko bana
jaanewale toh sab apni raah chale
ek musafir naya kiska mehmaan raha
maharshi kanva ne dekha daana liye
ek panchi jo udkar kahi ko chala
lekar pura patta haal dekha kabhi
aaya kichad me sundar kamal ek pada
jisne maya me phir se faasaya unhe
aaj banana pada uska paalak pita
woh shakun se phali bani shakuntala
bholi aashram me ja jaise kalplata

kanva rishi ke ashram me woh vandevi sukumari
seva murat bankar dole santan ko sukhkari
santan ko sukhkari
vo hi kanya shakuntala jin vishvamitra vikari
kanva muni kar paalan uska apni kari dulaari
aisi tapasvi jinki karni unchi jagat manjhari
unki kanya kare na kaise jag me naam ujari
band karo meri vipda bhari janm kahani