Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musth-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Mera rang roop bigad gaya
Mera yaar muhjse bichad gaya
Jo chaman fiza mein ujad gaya
Main usi ki faasle bahar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Main kahan rahoon main khahan basu
Na yeh mujhse khush na woh mujhse khush
Main zamin ki peet ka boj hoon
Main falak ke dil ka gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Pade faatiha koyi aaye kyon
Koyi chaar phool chadaye kyon
Koyi aake shama jhalaye kyon
Koyi aake shama jhalaye kyon
Main woh be-kasi ka mazaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon
Na kisi ke dil ka karar hoon
Jo kisi ke kaam na aa sake
Main woh ek musth-e-gubaar hoon
Na kisi ki aankh ka noor hoon.