Welcome Entertainment Lover’s

Ye Main Kahan Lyrics | Shararat

                        
                        Yeh main kahan aake fas gaya
Na josh hai nahin shor hai
Yeh main kahan aake fas gaya
Na josh hai nahin shor hai
Do hi gadi mein gabra gaya
Yahan zindagi badi bore hai
Aye nazar na koyi raasta
Kin se pada hai mera waasta
Samaj mein kucch bhi
Aaye na main kya karu bhala

Koyi jaane na yaaron ke bina
Khoya khoya sa main rahun
Yaad aa rahe bite din muhje

Kaise yeh ghytan main saho
Dekho to ghar se
Achcha sa jail hai
Tum saare rahte jahan
Na koyi khwaab hai na
Koyi rang hai na
Koyi hai daastan
Neend se jaago
Saath mere bhaago
Mushkil hai jeena yahan
Poocho zara hai kaisi zindagi
Jaise jiyo hai waisi zindagi
Jahan hai ghum wahan hai
Khushi yeh soch tu zara
Yeh main kahan aake fas gaya
Na josh hai nahin shor hai

Nafraten yahan rukti hi
Nahi is duniya mein pyaar hai
Begaana hai yahan koyi bhi
Nahi aisa yeh parivaar hai
Dharti ke god mein
Yeh apna swarg hai
Has ke yahan rehte hai hum
Hai unche hosle

Umiden bhi hai jawan
Humko na yahan hai koyi ghum
Naadaan hai baccha hai
Akal ka tu kachcha hai
Tujhko nahin kuch bhi pata
Budhe ped hao kuch na paaoge
Jhuko ge na jo tum to tut jaaoge
Na zid karo re maan lo
Yeh kehna tum mera
Aati jati hai mushkile badi
Haar hum kabhi maan te nahin
Jaan jaaoge maan jaaoge
Tum abhi hame jaante nahin
Yeh batayenge beta kal tuhje
Boodhe ped hi dege fal tuhje
Buzurgon ki jo na sune
Woh roye baad mein
Yeh main kahan aake fas gaya
Na josh hai nahin shor hai.