kaha se le ke aayi hai kaha majburiya meri
zuba khamosh aankhe keh rahi hai daasta meri
meri takdir ke mailk mera kuch faisala kar de
bura chahe bura kar de bhala chahe bhala kar de
meri takdir ke mailk
mujhe itna bata de mai kaha jau kidhar jaau
kahi jaane se achcha hai tere kadmo me mar jaau
sahara de nahi sakta to fir be-aasra kar de
meri takdir ke mailk
nahi duniya me mera dusra koi thikana hai
mujhe to bas yahi apna mukaddar aazmana hai
liya hai dil to meri jaan bhi tan se juda kar de
meri takdir ke mailk
mujhe barbaad karne me jo hota ho bhala tera
bujha de apne hatho se chirag-e-zindagi mera
nahi koi gila tujhse agar chahe fanah kar de
meri takdir ke mailk