Woh kehte hain ishq hadd mein karo
Jo ishq kya hai na jaanein
Yeh dil to anpadh dehaati sa hai
Kya kuchh lika hai kya jaane
Baahar se dekha jinhone
Andar chale kya kya jaanein
Hum jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegi
Jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegi
Chup to na hogi mohabbat
Dushwariyon se dara ke
Ummeed iska lahu hai
Hain dard iski khuraakein
Jitne zakham aur judenge
Utna badhengi yeh shaakhein
Woh kaat daalein humeinchahe roz
Zidd jad mein hai kya karenge
Ek pyar ek jung dono ke dosh
EK ghar mein hain kya karenge
Ek dil hi khud mein bohat hai
Kis kis ki parwah karenge
Hum jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegi
Jal jaayein raakh bachegi
Ishq mein ik na aag bachegi
Phir bhi inn seeli aankhon mein
Aakhiri lau tak aas bachegi.