shri krishn govind gopalam
shri krishn govind gopalam
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya
tute jagat ke bandhan jivan badal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya
apno ki moh maya jhuti barat ho
sukh dukh ka ye kabila bande ke sath hai
isko samjh ke bachna apne hi hath hai
vedo ka sar isme chhoti si bat hai
aankho ne jab ye parkha sankat hi tal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya
chhal aur kapat me uljha phirta hai aadmi
karta hai jag me jaisa bharta hai aadmi
sab kuch samjh ke kuch na samjha hai aadmi
jaye na sath kuch bhi jata hai aadmi
socha jisne ye uska har pal sambhal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gayas
jhute hai sare bandhan sanso ke tar ke
rakh de re jag ka bojha jag me utar ke
samshan ki chitaye kahti pukar ke
aana yaha padega manav ko har ke
unche gagan pe chad ke suraj bhi dhal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya
tute jagat ke bandhan jivan badal gaya
jaga naya sawera andhiyara dhal gaya