Ye Duniya Ki Rail Musafir Chhak Chhak Chalti Jaye Lyrics | Sitara

                        
                        ye duniya ki rel musafir
ye duniya ki rel musafir
chhak chhak chalti jaye re chalti jaye
re pal pal aage badhti jaye re aage badhti jaye re

sanso ki patri pe bhage raah chale na aadi
isme lage kismat ke pahiye
chal jaye to gaadi baba chal jaye to gaadi baba
nagar nagar mein taharti rukati
nagar nagar mein taharti rukati
manjil tak pahuchaye re
re pal pal aage badhti jaye re
aage badhti jaye re aage badhti jaye re

is gaadi mein dekh na pyere
jaat paat ke fande jaat paat ke fande
ek jagah par mil kar baithe
sab bhagwan ke bande baba
sab bhagwan ke bande baba
do din ka ye safar hai baba
do din ka ye safar hai baba
manjil tak pahuchaye re pal pal
aage badhti jaye re aage badhti jaye re

seth muhajim chor uchake is gaadi mein sath chale
raat ko soye dhan lut jaye aur sawere hath male
aur sawere hath male koi bajaye chain ki bansi
koi bajaye chaik ki bansi koi neer bahaye
aage badhti jaye re aage badhti jaye re
ye duniya ki rel musafir
chhak chhak chalti jaye re chalti jaye
re pal pal aage badhti jaye re aage badhti jaye re