ye kaisa suraj hain ye kaisa suraj hain
chamak raha hain par mere path ka mitta nahi andhera
kahan hain savera mose mamta puchhe re
mose mamta puchhe re
ankhiyo ka tara raaj dulara
laal kahan hain tera kahan hain savera
ye kaisa suraj hain ye kaisa suraj hain
tujhe kit dhundhu kahan paau kab tak man ko samjhau
tujhe kit dhundhu kahan paau kab tak man ko samjhau
dar laage mujhe bin dekhe tujhe duniya se chali na jaau
dar laage mujhe bin dekhe tujhe duniya se chali na jaau
kitne din beete re kitne din beete re
barso se hain is jivan me raat hi raat ka dera
kahan hain savera ye kaisa suraj hain
ye kaisa suraj hain
main to naam ki maa kahlayi kisi kaam tere na aayi
main to naam ki maa kahlayi kisi kaam tere na aayi
jis dudh pe tha adhikar tera wo bhi to pila na payi
kuch sukha aanchal me kuch sukha aanchal me
kuch ashuvan ki dhar me bah gaya
dudh o bete mera kahan hain savera
mose mamta puchhe re mose mamta puchhe re
ankhiyo ka tara raaj dulara
laal kahan hain tera kahan hain savera
ye kaisa suraj hain ye kaisa suraj hain
ye kaisa suraj hain