Are o re, are o re, o re o re
Are o re dharti ki tarah har dukh sah le
Suraj ki tarah tu jalti ja
Dharti ki tarah har dukh sah le
Suraj ki tarah tu jalti ja
Sindur ki laaz nibhane ko
Chup chap aag pe chalti ja
Chup chap aag pe chalti ja
Are o re, o re o re
Dekhi na khushi tune re koi
Dekhi na khushi tune re koi
Jivan se pyar ruth gaya
Jis ghar ko mandir mana tha
Wo ghar bhi tujhse chhut gaya
Are o re dharti ki tarah har dukh sah le
Apane yug ki har seeta ko
Apane yug ki har seeta ko
Sholo per bithaya jata hai
Daman kitana hi pawan ho
Dosh lagaya jata ho
Are o re, o re o re
Dharti ki tarah har dukh sah le
Sansar tujhi se chalta hai
Sansar tujhi se chalta hai
Teri kokh se maut bhi hari hai
Bhagwan ki tarah mahan hai tu
Kahne ko abla nari hai
Are o re, o re o re
Dharti ki tarah har dukh sah le
Suraj ki tarah tu jalti ja
Sindur ki laaz nibhane ko
Chup chap aag pe chalti ja
Chup chap aag pe chalti ja
Are o re, o re o re.