Umm..hmm hmm hmm
Umm..hmm dekho
Na zara dekho na
Tum ho main hoon
Aur ye tanhaaiyaan hai
Dekho na zara dekho na
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Suno zara suno zara
Dhadkanon ki sada
Suno zara suno zara
Geet khaamoshi ka
Suno zara suno zara
Kehti hai raat kya
Raat hai leke aayi
Kitne armaan anjaane
Kehti hai sau afsaane
Sunta hoon main
Raat ne li angdaai
Anhoni baat hai hoti
Bikhre hai jaise moti
Chunta hoon main
Tumne ye kya keh diya
Meri aankhon mein diye
Hai jaise jal gaye
Tumne ye kya keh diya
Meri raaton ke andhere
Jaise dhhal gaye
Tumse hi toh milke
Maine jaana hai
Sapne kya hote hain ho
Tumse hi toh milke
Maine jaana hai
Dil kaise khote hain oh..
Chaandni se pyaari mujhko
In palkon ki chhaaon
Tumne basaaya mere
Dil mein ik sapnon ka gaaon
Tumne mujhko chaaha toh
Mausam rang chhalkaata hai
Har pal jee ab
Gaata hai mere liye
Tumne mujhko chaaha toh
Jeevan ki saari raahein
Khole hain apni baahein mere liye
Dekho na zara dekho na
Tum ho main hoon aur
Ye tanhaaiyaan hai
Dekho na zara dekho na
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Hmm tum bin din sune
The raatein suni thi
Viraani thi chhaayi oh
Ab jaise din chamke
Raatein mehki hai
Tum ho jo hamraahi oh
Tum bin jaise main thi adhoori
Poori ho gayi hoon main
Tumko paake jag paaya hai
Par khud kho gayi hoon main
Ham dono ne ab jaana
Jeene ka matlab kya hai
Pehle kya thi ab kya
Hai ye zindagi
Ham dono ne ab jaana
Duniya kitni pyaari hai
Paayi kitni saari hai
Hamne khushi
Dekho na zara dekho na
Tum ho main hoon aur
Ye tanhaaiyaan hai
Dekho na zara dekho na
Kaisi narm si ye
Parchhaaiyaan hai
Suno zara suno zara
Dhadkanon ki sada
Suno zara suno zara
Geet khaamoshi ka
Suno zara suno zara
Kehti hai raat kya.