Welcome Entertainment Lover’s

Ye Suraj Chand Sitare Lyrics | Swarg Yahan Narak Yahan

Lyricist : Indeevar
Music Director : Rajeev Kumar , Rajesh Roshan
Singer : Nitin Mukesh
                        
                        Ye sooraj chand sitare
Sab ke liye inke nazare
Par teri chamak bas
Mere liye hi hain
Teri chamak bas
Mere liye hi hain
Tu hai noor hamara
Tuhi mann ke gagan ka sooraj
Tu mere nain ka tara

Ye sooraj chand sitare
Sab ke liye inke nazare
Par teri chamak bas
Mere liye hi hain
Teri chamak bas
Mere liye hi hain
Tu hain noor hamara
Tuhi mann ke gagan ka sooraj
Tu mere nain ka tara

Tu tham ke ungli meri
Abhi sikh raha chalna
Main har pal saath hoon tere
Tujhe mushkil nahin sambhalna
Mat thamna haath kisi ka
Tu apne pal pal chalna
Pairo pe khada hone ko
Khud girna khud hi sambhalna
Jo karte hain khud pe bharosha
Jo karte hain khud pe bharosha
Wo lete nahin sahara
Tu hi mann ke gagan ka sooraj
Tuhi mere nain ka tara

Mangi to khilana kya hain
Lage nahin jo khudai
Maine tere hi sapno se
Ghar ki har cheez sajai
Hai swarg yaha narak yaha
Tere haath bigadna sawarna
Jo khwab adhure chhodu
Wo khwab tu pure karna
Chalna tu waha se aage
Chalna tu waha se aage
Jaha ruke meri jeevan dhara
Tuhi mann ke gagan ka sooraj
Tu mere nain ka tara

Ye sooraj chand sitare
Sab ke liye inke nazare
Par teri chamak bas
Mere liye hi hain
Teri chamak bas
Mere liye hi hain
Tu hai noor hamara
Tuhi mann ke gagan ka sooraj
Tu mere nain ka tara.