Ho hoho…
Pavitra bhoomi bharati ki maati pe tu janma
Roop hai tu nar singh kaa
Charitra tera taarikhein bhi garv se likhengi
Chamakta rahe tu surya saa
Mrityu ne hi tujhko lambi umar hai dedi
Sada ko hai amar teri ye kathaa
Aasmaan bhi jhuk ke pranaam tujhko karta
Tu aaya hai yahaan nayi si subah sa
Ho sye raa! Ho sye raa! Ho sye raa!
Savera teri saanson mein basaa
Ho sye raa! Ho sye raa! Ho sye raa!
Andhera tere aane se hataa
Ho ho sye raa! Sye sye sye raa!
Ho ho sye raa!
Ho ho sye raa! Sye sye sye raa!
Ho ho sye raa!
Ghamandi se firangiyon ke aage
Himmaton se tu dahaadta
Jhuke jhuke dare huve saron pe
Veerta ka mantra jhaadta
Lalkaar tu jo yeh kehti hai
Maati ke liye har saans ko
Nichhavar kar do naa
Boond boond karke itne log tune jode
Samudra veerta ka hai banaa
Prachand aandhi bannke
Jo ki duniya ko hila de
Firangiyon ke zulm se ladaa
Ye pehli hai ladaai
Jo janta ne hai chhedi
Yun bijli ki tarah garaj rahi sada
Ghulaami ke andheron ko raakh mein milaane
Mashaalon ki tarah sulag sulag rahaa
Ho sye raa! Ho sye raa! Ho sye raa!
Savera teri saanson mein basaa
Ho sye raa! Ho sye raa! Ho sye raa!
Andhera tere aane se hataa
Ho ho sye raa sye sye sye raa!
Ho ho sye raa!
Ho ho sye raa sye sye sye raa!
Ho ho sye raa!
Daas ban ke jeene se acha hai
Yuddh mein hi lad lad ke mar jaaye hum
Mushqilon se mila hai manushya ka janam
Ismein kyun hum sahein ye sitam
Bhaai bandhu sakhaa putra maa aur behan
Bhoolkar ke aage badhte jaayein hum
Ho dikhe ek par baney laakh hum
Lakshya ki taraf badhe kadam
Yuddh bhoomi jaao
Yuddh bhoomi jaao
Saare sinha banke saare sinha banke
Shoor hai tu shoor hai tu
Veer hai tu veer hai tu
Dushmaon ko ab jado se hi tum ukhaad do
Ho sye raa ho sye raa ho sye raa!
Savera teri saanson mein basaa.